jis  jagah  daur-e-jām  hotā  hai
vaañ  ye  aajiz  mudām  hotā  hai
ham  to  ik  harf  ke  nahīñ  mamnūn
kaisā  ḳhatt-o-payām  hotā  hai
teġh  nākāmoñ  pe  na  har  dam  khīñch
ik  karishme  meñ  kaam  hotā  hai
pūchh  mat  aah  āshiqoñ  kī  ma.āsh
roz  un  kā  bhī  shaam  hotā  hai
zaḳhm  bin  ġham  bin  aur  ġhussa  bin
apnā  khānā  harām  hotā  hai
shaiḳh  kī  sī  hī  shakl  hai  shaitān
jis  pe  shab  ahtelām  hotā  hai
qatl  ko  maiñ  kahā  to  uTh  bolā
aaj  kal  sub.h-o-shām  hotā  hai
āḳhir  ā.ūñgā  na.ash  par  ab  aah
ki  ye  āshiq  tamām  hotā  hai
'mīr'  sāhab  bhī  us  ke  haañ  the  par
jaise  koī  ġhulām  hotā  hai