kuchh  mauj-e-havā  pechāñ  ai  'mīr'  nazar  aa.ī
shāyad  ki  bahār  aa.ī  zanjīr  nazar  aa.ī
dillī  ke  na  the  kūche  aurāq-e-musavvar  the
jo  shakl  nazar  aa.ī  tasvīr  nazar  aa.ī
maġhrūr  bahut  the  ham  aañsū  kī  sarāyat  par
so  sub.h  ke  hone  ko  tāsīr  nazar  aa.ī
gul-bār  kare  haigā  asbāb-e-safar  shāyad
ġhunche  kī  tarah  bulbul  dil-gīr  nazar  aa.ī
us  kī  to  dil-āzārī  be-hech  hī  thī  yaaro
kuchh  tum  ko  hamārī  bhī  taqsīr  nazar  aa.ī