mue  sahte  sahte  jafā-kāriyāñ
koī  ham  se  sīkhe  vafādāriyāñ
hamārī  to  guzrī  isī  taur  umr
yahī  naala  karnā  yahī  zāriyāñ
farishta  jahāñ  kaam  kartā  na  thā
mirī  aah  ne  barchhiyāñ  māriyāñ
gayā  jaan  se  ik  jahāñ  le  ke  shoḳh
na  tujh  se  ga.iiñ  ye  dil-āzāriyāñ
kahāñ  tak  ye  taklīf-e-mā  lā-yutāq
huiiñ  muddatoñ  nāz-bardāriyāñ
ḳhat-o-kākul-o-zulf-o-andāz-o-nāz
huiiñ  dām-e-rah  sad-giraftāriyāñ
kiyā  dard-o-ġham  ne  mujhe  nā-umīd
ki  majnūñ  ko  ye  hī  thiiñ  bīmāriyāñ
tirī  āshnā.ī  se  hī  had  huī
bahut  kī  thiiñ  duniyā  meñ  ham  yāriyāñ
na  bhaa.ī  hamārī  to  qudrat  nahīñ
khiñchīñ  'mīr'  tujh  se  hī  ye  ḳhvāriyāñ