chāhatoñ  kī  jo  dil  ko  aadat  hai
ye  bhī  insāñ  kī  ik  zarūrat  hai
ham  farishte  kahāñ  se  ban  jaa.eñ
ishq  insān  kī  jibillat  hai
kaun  aayā  hai  kaun  aa.egā
be-sabab  jāgne  kī  aadat  hai
kyā  mileñge  jo  kho  ga.e  ik  baar
bhiiḌ  meñ  DhūñDhnā  qayāmat  hai
un  ke  andāz  dushmanī  meñ  bhī
dostī  kī  ajab  shabāhat  hai
mere  andar  jo  merā  dushman  hai
hū-ba-hū  vo  mirī  hī  sūrat  hai
un  ke  va.adoñ  se  ye  huā  ma.alūm
jhuuT  sab  se  baḌī  sadāqat  hai
is  qadar  duur  kyuuñ  nikal  aa.e
ab  to  ghar  lauTnā  qayāmat  hai
un  ke  lahje  meñ  un  kī  bātoñ  meñ
chāñdnī-rāt  kī  sabāhat  hai
ye  kahānī  bhī  ḳhuub  hai  yaaro
har  jagah  ek  sī  ibārat  hai
'vajd'  yādoñ  meñ  un  kī  ġham  rahnā
rāhatoñ  kī  hazār  rāhat  hai
kis  liye  'vajd'  dil-girafta  ho
dushmanī  dostoñ  kī  aadat  hai