duniyā  apnī  manzil  pahuñchī  tum  ghar  meñ  bezār  paḌe
tum  se  kis  ko  ishq  huā  hai  tum  pe  ḳhudā  kī  maar  paḌe
dil  kī  bātoñ  meñ  aa  jaanā  jiite  jī  mar  jaanā  hai
ham  us  ke  kahne  meñ  aa.e  kitne  din  bīmār  paḌe
gul  yā  gulshan  se  laḌ  jaanā  khel  hai  apnī  nazroñ  kā
aisī  ghaḌī  allāh  na  laa.e  jab  dil  se  takrār  paḌe
gar  na  sadaf  se  bāhar  aate  ik  din  motī  ban  jaate
kam-zarfī  ne  ḳhvār  kiyā  hai  sāhil  par  ho  baar  paḌe
hijr  kī  muddat  dard  ke  lamhe  kyā  kyā  ma.anī  rakhte  haiñ
ye  sab  bāteñ  vo  dil  jaane  jis  par  ġham  kā  baar  paḌe
duniyā  taj  kar  ishq  ke  raste  aa.e  vo  bhī  sahl  paḌā
'vajd'  ab  us  raste  par  jaao  jo  rasta  dushvār  paḌe