lagā.eñ  aag  hī  dil  meñ  ki  kuchh  ujālā  ho
kisī  bahāne  to  is  ghar  kā  bol-bālā  ho
numūd-e-sub.h  ko  kaise  kare  jahāñ  taslīm
koī  kiran  ho  kahīñ  naam  ko  ujālā  ho
na  tum  mile  na  ye  duniyā-e-ġham  hī  raas  aa.ī
tum  hī  batāo  ki  is  ġham  kā  kyā  izāla  ho
ajab  ajab  sī  haiñ  afvāheñ  garm  zindāñ  meñ
ajab  nahīñ  ki  isī  shab  yahāñ  ujālā  ho
phir  us  kī  baat  kā  kaise  yaqīn  aa  jaa.e
vo  jis  kī  baat  kā  andāz  hī  nirālā  ho
kashāñ  kashāñ  hī  chalo  ye  ravish  hī  behtar  hai
kahīñ  na  zikr  ho  apnā  na  kuchh  havāla  ho