aap  hī  apnā  maiñ  dushman  ho  gayā
tap  gayā  sonā  to  kundan  ho  gayā
aur  nikhrā  sub.h-e-kāzib  kā  suhāg
ḳhatm  jab  tāroñ  kā  īñdhan  ho  gayā
kis  se  pūchhūñ  kho  ga.ī  siitā  kahāñ
ban  kā  har  saaya  hī  rāvan  ho  gayā
jab  dar-o-dīvār  chamkā.e  ga.e
ghar  kā  ghar  hī  un  kā  darpan  ho  gayā
bad-nasībī  qāfile  kī  dekhiye
jo  banā  rahbar  vo  rahzan  ho  gayā
vo  nahīñ  to  un  kā  har  lamha  ḳhayāl
har-nafas  par  ek  uljhan  ho  gayā
māñgte  phirte  haiñ  gul  ḳhāroñ  se  chhāñv
kyā  se  kyā  dastūr-e-gulshan  ho  gayā
phir  na  bichhḌe  is  tarah  se  mil  ga.e
jaise  do  sāyoñ  kā  bandhan  ho  gayā
be-ḳhayālī  meñ  yūñhī  phailā  thā  haath
jab  chhuā  tum  ne  to  dāman  ho  gayā
jaane  kyuuñ  gum  ho  ga.ī  barkhā  kī  dhuup
ruḳh  mirā  jab  sū-e-chilman  ho  gayā