Naseem Shekh

bana ke taj-mahal KHud use giraunga

Naseem Shekh

Pakistan

1965

banā ke tāj-mahal ḳhud use girā.uñgā

mohabbatoñ meñ baġhāvat hai kyā dikhā.ūñgā

qalam lagā ke adāvat ke peḌ-paudoñ meñ

jo shāḳh sabr phal de vahī ugāñgā

utar chukī hai mirī ruuh meñ shab-e-hijrāñ

maiñ us ko hijr mankūha ab banā.ūñgā

ġhamoñ aañch par aañsū ubaal kar apne

maiñ apne zabt quvvat ko āzmā.ūñgā

chalā huuñ bād-e-muḳhālif maiñ ek muddat se

na chheḌo mujh ko vagarna tumheñ rulā.uñgā

karo na fikr sitāroñ chaal jo bhī ho

uThā ke chāñd chakorī ke paas lā.ūñgā

lagā ke siine se maiñ rāstoñ ke ye patthar

ḳhizāñ meñ giit bahāroñ ke gungunā.uñgā

maiñ tishnagī ko miTāne ke vāste sahrā

laboñ se tere maiñ ye aable lagā.ūñgā

bhañvar ke pairoñ meñ hasrat ke bāñdh kar ghuñghrū

gar iḳhtiyār meñ hogā to maiñ nachauñgā

maiñ ek mauj-e-'nasīmī' huuñ bastiyāñ dil

sarāb-e-dasht tire sāmne basā.ūñgā

Top Urdushayar.com