Naseem Shekh

zindagi ke nam par dhoka hua achchha hua

Naseem Shekh

Pakistan

1965
zindagī ke naam par dhokā huā achchhā huā
jo huā jo bhī huā jaisā huā achchhā huā
khā rahā thā dhīre dhīre ye sukūt-e-jāñ mujhe
mahshar-e-jāñ jā-ba-jā barpā huā achchhā huā
ho ke bāġhī aañkh se aañsū girā ruḳhsār par
sohbat-e-hijrāñ vahī dariyā huā achchhā huā
le rahī thī siskiyāñ qirtās par tahrīr-e-jāñ
zā.iqa tahrīr kā kaḌvā huā achchhā huā
uñgliyāñ uThne lagīñ thiiñ hasrat-e-be-nām par
hasratoñ kā aks ab dhuñdlā huā achchhā huā
thī mazār-e-ishq par minnat kī chādar kī tarah
zindagī terā yahāñ saudā huā achchhā huā
jis mohabbat ke liye duniyā ko Thokar maar dī
aaj us ke naam par rusvā huā achchhā huā
kab talak rahtā salāmat muḳhlisī kā pairahan
gardishoñ ke haath ye melā huā achchhā huā
hosh meñ rahte hue mad.hosh thā sochā nahīñ
rah gayā maiñ jā-ba-jā bikhrā huā achchhā huā
kah ga.ī mauj-e-'nasīmī' dekh kar chehrā mirā
ho gayā dār-o-rasan likkhā huā achchhā huā
Top Urdushayar.com