Asad Raza

rahen dhuan dhuan hain safar gard gard hai

Asad Raza

Bijnor, Uttar pradesh, India

1952
rāheñ dhuāñ dhuāñ haiñ safar gard gard hai
ye manzil-e-murād to bas dard dard hai
apne paḌosiyoñ ko bhī pahchāntā nahīñ
mahsūr apne ḳhol meñ ab fard fard hai
is mausam-e-bahār meñ ai bāġhbāñ batā
chehra har ek phuul kā kyuuñ zard zard hai
laffāziyoñ kā garm hai bāzār kis qadar
dast-e-amal hamārā magar sard sard hai
kaisā tazād shāḳh-e-tamannā meñ hai 'asad'
ḳhud ye harī harī hai samar zard zard hai
Top Urdushayar.com