ek  tum  hī  nahīñ  duniyā  meñ  jafākār  bahut
dil  salāmat  hai  to  dil  ke  liye  āzār  bahut
haa.e  kyā  chiiz  hai  mahrūmī-o-ġham  kā  rishta
mil  ga.e  ziist  ke  har  moḌ  pe  ġham-ḳhvār  bahut
yād-e-ahbāb  kī  ḳhushbū  se  mahaktī  shāmeñ
kuchh  kaho  hotī  haiñ  kambaḳht  dil-āzār  bahut
ishq-e-āvāra  kahāñ  qaid-e-dar-o-bām  kahāñ
be-navāoñ  ke  liye  sāya-e-dīvār  bahut
dil  kī  raftār  badal  jaatī  thī  āvāz  ke  saath
yaad  aatā  hai  vo  pairāya-e-guftār  bahut
ek  din  vaqt  batā.egā  junūñ  kī  azmat
yuuñ  to  ham  log  haiñ  rusvā  sar-e-bāzār  bahut
vo  kashākash  hai  ki  jiinā  bhī  hai  dūbhar  'tābāñ'
ishq  ma.asūm  bahut  husn  fusūñ-kār  bahut