Taban Ghulam Rabbani

wo raushni ki ba-qaid-e-sahar nahin ai dost

Taban Ghulam Rabbani

Farrukhabad, Uttar pradesh, India

1914-1993

vo raushnī ki ba-qaid-e-sahar nahīñ ai dost

tirā jamāl hai merī nazar nahīñ ai dost

tire baġhair vo shām-o-sahar nahīñ ai dost

koī charāġh sar-e-rahguzar nahīñ ai dost

bahānā DhūñDh liyā tujh se baat karne

kuchh aur maqsad-e-arz-e-hunar nahīñ ai dost

shab-e-firāq ye mahviyatoñ aalam hai

kisī haa.e kisī ko ḳhabar nahīñ ai dost

mah o nujūm bhī garm-e-safar to haiñ lekin

koī bhī un meñ mirā ham-safar nahīñ ai dost

kabhī udhar se jo guzre to sarsarī guzre

savād-e-tūr tirī rahguzar nahīñ ai dost

Top Urdushayar.com