Taban Ghulam Rabbani

sar-ta-ba-qadam ek hasin raaz ka aalam

Taban Ghulam Rabbani

Farrukhabad, Uttar pradesh, India

1914-1993

sar-tā-ba-qadam ek hasīñ raaz aalam

allāh re ik fitnagar-e-nāaz aalam

zulfoñ meñ vo barsāt rātoñ javānī

aariz pe vo anvār-e-sahar-sāz aalam

unvān-e-soḳhan 'ġhālib' o 'momin' taġhazzul

andāz-e-nazar bāda-e-shīrāz aalam

duz-dīda nigāhoñ meñ ik ilhām duniyā

nāzuk se tabassum meñ ik ejaaz aalam

uljhe hue jumloñ meñ sharārat bhī hayā bhī

jazbāt meñ Duubā huā āvāz aalam

is sādgi-e-husn meñ kis darja kashish hai

har naaz meñ ik jazba-e-ġhammāz aalam

us said ko kyā kahiye jo ḳhud aa.e tah-e-dām

dil meñ liye ik hasrat-e-parvāz aalam

yuuñ to na tasāhul na taġhāful na tajāhul

kuchh aur hai us kāfir-e-tannāz aalam

shoḳhī meñ sharārat meñ matānat meñ hayā meñ

jo raaz aalam thā vahī raaz aalam

Top Urdushayar.com