Taban Ghulam Rabbani

dil wo kafir ki sada aish ka saman mange

Taban Ghulam Rabbani

Farrukhabad, Uttar pradesh, India

1914-1993

dil vo kāfir ki sadā aish sāmāñ māñge

zaḳhm jaa.e to kambaḳht namak-dāñ māñge

lutf aa.e jo koī soḳhta-sāmān-e-bahār

ḳhāliq-e-rañg se phir sho.ala-e-uryāñ māñge

hasrat-e-dīd sar-e-bām tamāsha chāhe

ishq-e-betāb sar-e-tūr charāġhāñ māñge

raat zulfoñ se kare shoḳh añdheroñ savāl

raushnī lauh-e-jabīñ se mah-e-tābāñ māñge

ik charāġh aur sar-e-rah-guzar-e-bād sahī

chaar tinkoñ ke liye kaun gulistāñ māñge

kam-nigāhī taqāza hai ki phir jur.at-e-shauq

ḳhud tirī shoḳhī-e-andāz se unvāñ māñge

dast-e-vahshat ke koī hausle dekhe 'tābāñ'

jab bhī māñge to usī shoḳh dāmāñ māñge

Top Urdushayar.com