Saqib Lakhnavi

chaman ka zikr kya ab to KHuda ko yaad karte hain

Saqib Lakhnavi

Agra, Uttar pradesh, India

1869-1946

chaman zikr kyā ab to ḳhudā ko yaad karte haiñ

ḳhushī sayyād ko hotī hai jab fariyād karte haiñ

na sharmāo agar ham shikva-e-bedād karte haiñ

mohabbat hai tumhārī ādatoñ ko yaad karte haiñ

hamārī dāstān-e-ġham rulātī hai zamāne ko

vo ham haiñ jo zabān ġhair se fariyād karte haiñ

ḳhudā ābād rakhe ham-safīrān-e-gulistāñ ko

jo koī phuul khultā hai to ham ko yaad karte haiñ

asīrān-e-qafas ḳhud bhī bahut kuchh kah guzarte haiñ

chaman ke tazkire aapas meñ jab sayyād karte haiñ

nahīñ ma.alūm maiñ kis haal meñ huuñ bāġh-e-ālam meñ

qafas vaale bhī mujh ko dekh kar fariyād karte haiñ

ḳhud un husn merī dād-ḳhvāhī un se kartā hai

vo ā.īna liye haiñ aur mujh ko yaad karte haiñ

adū sayyād gulchīñ kyuuñ ho mere nasheman ke

ye tinke bhī haiñ is qābil jinheñ barbād karte haiñ

lahad par chalne vaale tham ki ham kuchh kah nahīñ sakte

zamīñ rakhtī hai muñh par haath jab fariyād karte haiñ

vo ḳhūbāñ jahāñ ashkoñ se jin husn sīñchā thā

vahī ba.ad-e-fanā miTTī mirī barbād karte haiñ

sar-e-gor-e-ġharībāñ kuchh na pūchho hāl-e-dil 'sāqib'

zamāna jin ko bhūlā hai ham un ko yaad karte haiñ

Top Urdushayar.com