vo  shaḳhs  phir  kahānī  kā  unvān  ban  gayā
maiñ  dard  likh  rahī  thī  vo  dīvān  ban  gayā
gardish  meñ  chāroñ  samt  rahe  us  ke  lafz  lafz
kuchh  yuuñ  huā  ke  aaj  vo  mehmān  ban  gayā
ḳhush  thī  maiñ  us  ko  baḳhsh  ke  kirdār  phir  nayā
vo  merī  dil-lagī  kā  bhī  sāmān  ban  gayā
mahfil  uruuj  par  thī  ki  nazreñ  ulajh  paḌīñ
sab  jān-būjh  ke  bhī  vo  anjān  ban  gayā
jab  us  kā  ishq  ḳhuun  kī  dhāroñ  meñ  hal  huā
mere  liye  to  lūlū-o-marjān  ban  gayā
itne  taġhayyurāt  ke  allāh  kī  panāh
har  karb  mere  ishq  kā  tāvān  ban  gayā
lazzat  to  aañkh  ne  bhī  uThā.ī  thī  saarī  raat
ik  ḳhvāb  merī  ruuh  kā  sohān  ban  gayā
kuchh  aur  ramz  mujh  pe  kiye  jaa.eñ  āshkār
us  kī  taraf  se  ye  nayā  farmān  ban  gayā
'asrā'  qadam  sambhāl  ke  rakhnā  zamīn  par
shaitān  kah  rahā  hai  ki  rahmān  ban  gayā