Ajay Sahaab

jang-e-hayat-o-maut mein kya kya nahin hua

Ajay Sahaab

Raigarh, Chhattisgarh, India

1969
jañg-e-hayāt-o-maut meñ kyā kyā nahīñ huā
guzrā hai dard had se pe chāra nahīñ huā
maiñ ne sadā rakhīñ yahīñ qatroñ sī fitrateñ
maiñ aaj tak ġhurūr kā dariyā nahīñ huā
kyā hādsa hai ye bhī ki rishta tirā mirā
bas biij rah gayā kabhī paudā nahīñ huā
jab ilm ne jahān ko taqsīm kar diyā
achchhā hai lā-ḳhirad huuñ maiñ daanā nahīñ huā
bīmāriyoñ meñ aa.egā pursish ko roz vo
ye soch kar 'sahāb' maiñ achchhā nahīñ huā
Top Urdushayar.com