Ajay Sahaab

ashkon se kab miTe hain daman ke dagh yaro

Ajay Sahaab

Raigarh, Chhattisgarh, India

1969
ashkoñ se kab miTe haiñ dāman ke daaġh yaaro
aise nahīñ bujheñge ġham ke charāġh yaaro
har aadmī ke qad se us kī qabā baḌī hai
sūraj pahan ke nikle dhuñdle charāġh yaaro
un meñ ḳhayāl-e-nau ke kaise ugeñge paude
banjar haiñ maz.haboñ se jin ke dimāġh yaaro
roz-e-azal se insāñ hai khoj meñ ḳhudā kī
kis ko milā hai lekin us kā surāġh yaaro
āñkhoñ meñ ab na aañsū dil meñ bhī ġham nahīñ hai
kab ke chhalak chuke haiñ saare ayāġh yaaro
Top Urdushayar.com