Ajay Sahaab

sham aai hai liye hath mein yaadon ke charagh

Ajay Sahaab

Raigarh, Chhattisgarh, India

1969

shaam aa.ī hai liye haath meñ yādoñ ke charāġh

vo tire saath guzāre hue lamhoñ ke charāġh

mere is ghar meñ añdherā kabhī hotā nahīñ

haiñ mire siine meñ jalte hue zaḳhmoñ ke charāġh

laakh tūfān hoñ kuTiyā mirī raushan rahī

ek barsāt se bujhne lage mahloñ ke charāġh

zindagī talḳh haqīqat hai andhī galī

apnī āñkhoñ meñ jalāte raho sapnoñ ke charāġh

ek muddat se dhadhaktā rahā merā ye zehn

tab kahīñ ke farozāñ hue lafzoñ ke charāġh

ḳhud nuur kiyā kartā hai raushan dil ko

raushnī tujh ko bhalā kaise deñ ġhairoñ ke charāġh

saarī duniyā ko ḳhudā ek sūraj de de

kaash bujh jaa.eñ zamāne se ye firqoñ ke charāġh

ab to jamhūr tāqat sūraj hai 'sahāb'

ab zamāne meñ kahāñ jalte haiñ shāhoñ ke charāġh

Top Urdushayar.com