jab  nigāheñ  laḌīñ  nigāhoñ  se
āñdhiyāñ  uTThīñ  dil  kī  rāhoñ  se
jurm  sābit  na  ho  to  jurm  nahīñ
qatl  karte  raho  nigāhoñ  se
ham  ne  tūfān  paal  rakkhe  haiñ
apne  ashkoñ  se  apnī  aahoñ  se
apne  jalvoñ  ko  dekhne  ke  liye
ḳhud  ko  dekho  mirī  nigāhoñ  se
gard-e-rah  kā  bhī  ehtirām  karo
us  ko  nisbat  hai  bādshāhoñ  se
is  tarah  sāmne  vo  aate  haiñ
dekhā  jaatā  nahīñ  nigāhoñ  se
terī  rahmat  ko  rakh  ke  madd-e-nazar
dil  ko  bahlā  liyā  gunāhoñ  se
vahī  dil  ke  qarīb  rahte  haiñ
duur  rahte  haiñ  jo  nigāhoñ  se
jab  se  dhoke  diye  haiñ  dil  ne  mujhe
bach  ke  rahtā  huuñ  ḳhair-ḳhvāhoñ  se
zarra  zarra  mahak  uThā  hai  jigar
kaun  guzrā  hai  dil  kī  rāhoñ  se