dard-e-dil  kī  davā  na  ho  jaa.e
zindagī  be-mazā  na  ho  jaa.e
lutf  detī  hai  kyā  umīd-e-vafā
bevafā  bā-vafā  na  ho  jaa.e
kaise  betāb  un  ko  dekhūñgā
aah  yārab  rasā  na  ho  jaa.e
dil  meñ  hasrat  basā  to  lī  hai  magar
ye  kaḌī  silsila  na  ho  jaa.e
apnī  duniyā  usī  se  raushan  hai
gul  charāġh-e-vafā  na  ho  jaa.e
ham  sitam  ko  karam  samajhte  haiñ
un  pe  ye  raaz  vā  na  ho  jaa.e
ik  zamāna  hai  us  kā  dīvāna
kahīñ  vo  but  ḳhudā  na  ho  jaa.e
dil  hī  sab  se  baḌā  sahārā  hai
dil  kisī  se  judā  na  ho  jaa.e
tum  agar  chhū  lo  apne  hoñToñ  se
sher  merā  tirā  na  ho  jaa.e
dil  luTā  kar  'jigar'  hamārī  tarah
koī  be-āsrā  na  ho  jaa.e