ik  nihattā  aadmī  tadbīr  se
kyā  laḌe  taqdīr  kī  shamshīr  se
muskurānā  zer-e-lab  har  vaqt  hī
koī  sīkhe  aap  kī  tasvīr  se
phuul  se  pesh  aa.iye  narmī  ke  saath
kāTiye  shamshīr  ko  shamshīr  se
dil  meñ  terī  yaad  se  hai  raushnī
aañkh  raushan  hai  tirī  tasvīr  se
apne  dīvāne  kī  betābī  kā  haal
pūchhiye  TuuTī  huī  zanjīr  se