us  zulf  kī  tausīf  batā.ī  nahīñ  jaatī
ik  lambī  kahānī  hai  sunā.ī  nahīñ  jaatī
dil  hai  ki  marā  jaatā  hai  dīdār  kī  ḳhātir
ham  haiñ  ki  udhar  aañkh  uThā.ī  nahīñ  jaatī
ashkoñ  se  kabhī  soz-e-jigar  kam  nahīñ  hotā
ye  aag  to  paanī  se  bujhā.ī  nahīñ  jaatī
dil  ye  to  tirā  dāġh-e-muhabbat  na  chhupegā
ā.īne  se  tasvīr  chhupā.ī  nahīñ  jaatī
yārab  kahāñ  le  jā.ūñ  maiñ  hasrat-zada  dil  ko
ye  laash  to  ab  mujh  se  uThā.ī  nahīñ  jaatī
aahoñ  se  kamī  ġham  meñ  na  hogī  dil-e-nādāñ
phūñkoñ  se  kabhī  aag  bujhā.ī  nahīñ  jaatī
kyuuñ  ashk-e-nadāmat  na  bahā.eñ  'jigar'  āñkheñ
jo  dil  meñ  lagī  hai  vo  bujhā.ī  nahīñ  jaatī