zer-e-lab  un  kā  muskurā  denā
dil  meñ  shahnā.iyāñ  bajā  denā
jaane  vaale  ye  baat  yaad  rahe
ham  ko  āsāñ  nahīñ  bhulā  denā
kahīñ  be-āsrā  na  kar  de  hameñ
is  qadar  terā  aasrā  denā
ham  ko  rone  kī  to  ijāzat  do
agar  aatā  nahīñ  hañsā  denā
ho  ke  nākām  nā-umīd  na  hoñ
tū  mujhe  itnā  hausla  denā
laakh  'hātim'  ho  koī  laakh  karan
kaun  de  saktā  hai  tirā  denā
sau  bahāroñ  kī  hai  bahār  'jigar'
un  kā  rah  rah  ke  muskurā  denā