kisī  se  rabt  nahīñ  hai  kisī  se  pyaar  mujhe
na  jaane  rahtā  hai  phir  kis  kā  intizār  mujhe
har  ek  saañs  mirī  umr  ko  ghaTātī  hai
nafas  kā  taar  hai  goyā  kafan  kā  taar  mujhe
mirī  bahār  ko  mausam  kā  intizār  nahīñ
koī  jo  hañs  ke  milā  mil  ga.ī  bahār  mujhe
na  be-qarār  ho  tū  merī  be-qarārī  par
taḌap  taḌap  ke  ḳhud  aa  jā.egā  qarār  mujhe
ye  dil  kā  aa.ina  ab  toḌne  ke  qābil  hai
dikhā.ī  detā  nahīñ  us  meñ  rū-e-yār  mujhe
kisī  ke  husn  kī  maiñ  ne  bahār  dekhī  hai
chaman  ke  phuul  dikhāte  haiñ  kyā  bahār  mujhe
ye  ḳhud-farebī  hai  merī  ki  ḳhud-farāmoshī
na  aane  vaale  kā  rahtā  hai  intizār  mujhe
mire  vajūd  se  harakat  to  hai  zamāne  meñ
agarche  mauj  kī  sūrat  nahīñ  qarār  mujhe
mire  chaman  hī  se  vābastagī  hai  donoñ  kī
aziiz  kyuuñ  na  hoñ  phūloñ  ke  saath  ḳhaar  mujhe
'jigar'  ke  ḳhuun  se  āñkhoñ  meñ  surḳh  Dore  haiñ
samajh  rahā  hai  zamāna  sharāb-ḳhvār  mujhe