kis  kā  lab  par  mire  fasānā  hai
hama-tan-gosh  ik  zamāna  hai
zindagī  ek  ḳhvāb  hai  lekin
is  haqīqat  ko  kis  ne  jaanā  hai
kis  tarah  ġham  ko  chhoḌ  duuñ  yak-laḳht
is  se  rishta  bahut  purānā  hai
aur  thoḌī  sī  kījiye  taklīf
do  qadam  par  ġharīb-ḳhāna  hai
aap  ko  lauTne  kī  der  hai  bas
umr-e-rafta  ko  lauT  aanā  hai
zindagī  tujh  se  kyā  maiñ  pyaar  karūñ
chaal  terī  musāfirāna  hai
rū-ba-rū  dil  ke  hai  vo  shoḳh-nazar
barq  kī  zad  meñ  āshiyānā  hai
hai  tamannā  kisī  se  milne  kī
maut  to  ai  'jigar'  bahānā  hai