jab  vo  nā-mehrbāñ  nahīñ  hotā
āsmāñ  āsmāñ  nahīñ  hotā
ham  zamāne  se  kyā  umiid  kareñ
tū  hī  jab  mehrbāñ  nahīñ  hotā
kahāñ  ārām  DhūñDne  jaa.eñ
kis  jagah  āsmāñ  nahīñ  hotā
merī  nazroñ  se  duur  rah  kar  bhī
vo  nazar  se  nihāñ  nahīñ  hotā
uzr  ab  kyuuñ  hai  mujh  se  milne  meñ
maiñ  tire  darmiyāñ  nahīñ  hotā
us  ko  nazreñ  bayān  kartī  haiñ
jo  zabāñ  se  bayāñ  nahīñ  hotā
dard  kā  kyā  subūt  pesh  karūñ
us  kā  koī  nishāñ  nahīñ  hotā
dair-o-ka.aba  meñ  DhūñDne  vaalo
us  kā  jalva  kahāñ  nahīñ  hotā
laakh  ārām  hoñ  qafas  meñ  magar
phir  bhī  vo  āshiyāñ  nahīñ  hotā
imtihān-e-vafā  se  baḌh  ke  'jigar'
koī  bhī  imtihāñ  nahīñ  hotā