ho  na  kuchh  baat  magar  shor  machā.e  rakhnā
is  tarah  auroñ  ko  hamdard  banā.e  rakhnā
tum  agar  chāhte  ho  sab  tumheñ  hañs  hañs  ke  mileñ
apnā  ġham  apne  hī  siine  meñ  chhupā.e  rakhnā
duur  karnā  na  kabhī  jalvoñ  ko  mere  dil  se
is  chaman  ko  inhīñ  phūloñ  se  sajā.e  rakhnā
is  se  pur-nūr  huā  merī  tamannā  kā  diyā
ruḳh-e-raushan  se  yūñhī  parda  uThā.e  rakhnā
ye  hamārā  hī  kaleja  hai  ki  tere  ġham  ko
dil  kī  mānind  kaleje  se  lagā.e  rakhnā
ye  adā  un  kī  masīhā  bhī  hai  qātil  bhī  hai
sāmne  aa  ke  nigāhoñ  ko  jhukā.e  rakhnā
tum  agar  chāhte  ho  koī  tamannā  na  rahe
haath  har  ek  tamannā  se  uThā.e  rakhnā
dar-e-mahbūb  pe  har  vaqt  paḌe  rahnā  'jigar'
ya.anī  us  dar  ko  dar-e-ka.aba  banā.e  rakhnā