jab  koī  ġham  hī  na  ho  ashk  bahā.ūñ  kaise
ḳhud  ko  duniyā  kī  adākārī  sikhā.ūñ  kaise
terī  har  ek  jhalak  aur  baḌhātī  hai  talab
aise  meñ  pyaas  nigāhoñ  kī  bujhā.ūñ  kaise
ḳhud-baḳhud  āñkhoñ  ke  paimāne  chhalak  paḌte  haiñ
shiddat-e-ġham  ko  chhupā.ūñ  to  chhupā.ūñ  kaise
chāñd-tāroñ  se  zarā  bhī  tujhe  taskīn  nahīñ
zindagī  ab  maiñ  tirī  maañg  sajā.ūñ  kaise
jis  ko  aane  kī  tasavvur  meñ  bhī  fursat  na  mile
hāl-e-dil  us  ko  sunā.ūñ  to  sunā.ūñ  kaise
bach  ke  duniyā  kī  nigāhoñ  se  ḳhatā  kar  to  luuñ
apnī  nazroñ  se  magar  ḳhud  ko  girā.ūñ  kaise
aag  ho  to  use  paanī  se  bujhā  bhī  luuñ  'jigar'
ye  lagī  dil  kī  hai  maiñ  us  ko  bujhā.ūñ  kaise