shauq  se  aa.e  burā  vaqt  agar  aatā  hai
ham  ko  har  haal  meñ  jiine  kā  hunar  aatā  hai
ġhaib  se  koī  na  dīvār  na  dar  aatā  hai
jab  ka.ī  dar  se  guzarte  haiñ  to  ghar  aatā  hai
aaj  ke  daur  meñ  kis  shai  kī  tamannā  kiije
hotā  kuchh  aur  hai  kuchh  aur  nazar  aatā  hai
pahle  ik  huuk  sī  uThtī  hai  lab-e-sāhil  par
phir  kahīñ  jā  ke  samundar  meñ  bhañvar  aatā  hai
ḳhud  mirī  chīḳh  sunā.ī  nahīñ  detī  mujh  ko
is  tarah  dil  meñ  koī  ḳhauf  utar  aatā  hai
ek  to  der  talak  niiñd  nahīñ  aatī  hai
aur  phir  ḳhvāb  bhī  to  pichhle  pahar  aatā  hai
kis  kī  tāzīm  ko  uThtī  haiñ  umañgeñ  dil  kī
hujra-e-ḳhās  meñ  ye  kaun  bashar  aatā  hai
mere  is  ḳhvāb  kī  ta.abīr  koī  batlā.e
nuqra.ī  tasht  meñ  shāhīn  kā  par  aatā  hai
jaane  kis  haal  meñ  rakhtī  hai  ye  duniyā  mujh  ko
jaane  kis  baat  pe  dil  dard  se  bhar  aatā  hai
vaise  to  kahne  ko  sach  baat  sabhī  kahte  haiñ
is  kī  pādāsh  meñ  kyuuñ  merā  hī  sar  aatā  hai