husn  kā  ek  aah  ne  chehrā  niDhāl  kar  diyā
aaj  to  ai  dil-e-hazīñ  tū  ne  kamāl  kar  diyā
sahtā  rahā  jafā-e-dost  kahtā  rahā  adā-e-dost
mere  ḳhulūs  ne  mirā  jiinā  muhāl  kar  diyā
mai-kade  meñ  hai  qaht-e-mai  yā  koī  aur  baat  hai
pīr-e-muġhāñ  ne  kyuuñ  mujhe  jaam  sambhāl  kar  diyā
jitne  chaman-parast  the  sāya-e-gul  meñ  mast  the
apnā  urūj-e-gulistāñ  nazr-e-zavāl  kar  diyā
ḳhud  mirā  soz-e-jāñ-gudāz  chheḌ  sakā  na  dil  kā  saaz
aap  kī  ik  nigāh  ne  sāhab-e-hāl  kar  diyā
bazm  meñ  saare  ahl-e-hosh  un  ke  sitam  pe  the  ḳhamosh
ek  junūñ-parast  ne  uTh  ke  savāl  kar  diyā
lutf-e-firāq-e-yār  ne  lazzat-e-intizār  ne
duur  dil  o  nigāh  se  shauq-e-visāl  kar  diyā
sun  ke  bayān-e-mai-kadā  dekh  ke  shān-e-mai-kadā
shaiḳh-e-haram  ne  bhī  'fanā'  mai  ko  halāl  kar  diyā