yuuñ  intiqām  tujh  se  fasl-e-bahār  leñge
phūloñ  ke  sāmne  ham  kāñToñ  ke  pyaar  leñge
jaane  do  ham  ko  tanhā  tūfān-e-ārzū  meñ
jab  Dūbne  lageñge  tum  ko  pukār  leñge
jo  kuchh  thā  paas  apne  duniyā  ne  le  liyā  hai
ik  jaan  rah  ga.ī  hai  vo  ġham-gusār  leñge
is  daur-e-tishnagī  meñ  kyā  mai-kade  ko  chhoḌeñ
kuchh  din  guzar  ga.e  haiñ  kuchh  din  guzār  leñge
sayyād  o  bāġhbāñ  ke  tevar  batā  rahe  haiñ
ye  log  fasl-e-gul  ke  kapḌe  utaar  leñge