ai  husn  zamāne  ke  tevar  bhī  to  samjhā  kar
ab  zulm  se  baaz  aa  jā  ab  jaur  se  tauba  kar
TuuTe  hue  paimāne  bekār  sahī  lekin
mai-ḳhāne  se  ai  saaqī  bāhar  to  na  pheñkā  kar
jalva  ho  to  jalva  ho  parda  ho  to  parda  ho
tauhīn-e-tajallī  hai  chilman  se  na  jhāñkā  kar
arbāb-e-junūñ  meñ  haiñ  kuchh  ahl-e-ḳhirad  shāmil
har  ek  musāfir  se  manzil  ko  na  pūchhā  kar