vo  ḳhānumāñ-ḳharāb  na  kyuuñ  dar-ba-dar  phire
jis  se  tirī  nigāh  mile  yā  nazar  phire
rāh-e-junūñ  meñ  yuuñ  to  haiñ  lākhoñ  hī  sar-phire
yā-rab  mirī  tarah  na  koī  umr  bhar  phire
raftār-e-yār  kā  agar  andāz  bhuul  jaa.e
gulshan  meñ  ḳhaak  uḌātī  nasīm-e-sahar  phire
saaqī  ko  bhī  sikhāte  haiñ  ādāb-e-mai-kashī
milte  haiñ  mai-kade  meñ  kuchh  aise  bhī  sar-phire
tark-e-vatan  ke  ba.ad  hī  qadr-e-vatan  huī
barsoñ  mirī  nigāh  meñ  dīvār-o-dar  phire
rah  jaa.e  chand  roz  jo  bīmār-e-ġham  ke  paas
ḳhud  apnā  dil  dabā.e  hue  chāra-gar  phire
maiñ  apnā  raqs-e-jām  tujhe  bhī  dikhā.ūñgā
ai  gardish-e-zamāna  mire  din  agar  phire
merī  nigāh  meñ  to  ġhazal  hai  usī  kā  naam
jis  kī  ragoñ  meñ  dauḌtā  ḳhūn-e-jigar  phire
qaid-e-ġham-e-hayāt  bhī  kyā  chiiz  hai  'fanā'
rāh-e-farār  mil  na  sakī  umr-bhar  phire