Abdullla Khan Mehr Lakhnavi

na pahunche chhuT kar kunj-e-qafas se hum nasheman tak

Abdullla Khan Mehr Lakhnavi

na pahuñche chhūT kar kunj-e-qafas se ham nasheman tak
par-e-parvāz ne yaarī na kī dīvār-e-gulshan tak
vo be-dil huuñ ki mujh se dostī kartā hai dushman tak
vo rahrav huuñ ki mujh ko raah batlātā hai rahzan tak
pas-e-murdan ye ai mashshāta-e-bād-e-sabā karnā
hamārī ḳhaak surma ban ke pahuñche chashm-e-rauzan tak
ḳhizāñ meñ dekh lenā vādī-e-pur-ḳhār se bad-tar
chaman bhī hai bahār-e-lāla-o-nasrīn-o-sosan tak
kidhar aayā hai dil pachhtāoge nādāñ na ho dekho
na pahuñchoge kabhī ai 'mehr' tum us shoḳh-e-har-fan tak
Top Urdushayar.com