Saqib Lakhnavi

yun akela dasht-e-ghurbat mein dil-e-nakaam tha

Saqib Lakhnavi

Agra, Uttar pradesh, India

1869-1946
yuuñ akelā dasht-e-ġhurbat meñ dil-e-nākām thā
pīchhe pīchhe maut thī aage ḳhudā kā naam thā
bante hī ghar ibtidā meñ rū-kash-e-anjām thā
tinke chun kar jab nazar kī āshiyāñ ik daam thā
be-mahal dil ke bujhāne se unheñ kyā mil gayā
jis ko sham-e-sub.h samjhe vo charāġh-e-shām thā
hāl-e-mun.im ḳhud-ġharaz kyā jāneñ mai-ḳhāna meñ kal
riñd the be-fikr gardish meñ dimāġh-e-jām thā
bas yahī fiqra ki shām-e-hijr ne maarā mujhe
koī kah aatā to kitnā muḳhtasar paiġhām thā
saikḌoñ baar ek āh-e-sard se tharrā chukā
kis qadar nazdīk dil se āsmāñ kā baam thā
nāmvar phir kaun hogā kār-zār-e-dahr meñ
jab yahāñ dil sā alam-bardār-e-ġham gumnām thā
monis-e-vahdat ko kho baiThā baḌī mushkil ye hai
kāTnā ik shām-e-furqat kā zarā sā kaam thā
sau jagah se chhin rahā thā jab tū Dartā kis liye
khā gayā dhokā ki mere dil kī sūrat daam thā
sar chaḌhāyā maiñ ne chun chun kar ḳhas-o-ḳhāshāk ko
baaġh ke tinke the vo jin kā nasheman naam thā
zab.h meñ ik bhiiḌ sī dekhī thī lekin kyā ḳhabar
gard merī hasrateñ thiiñ yā hujūm-e-ām thā
mere naale the shab-e-furqat meñ kitne bar-mahal
un ke kānoñ meñ magar ik shor-e-be-hañgām thā
kyā zamāne kā gilā 'sāqib' kisī kā kyā qusūr
ye dil-e-ġham-dost ḳhud hī dushman-e-ārām thā
Top Urdushayar.com