yuuñ  akelā  dasht-e-ġhurbat  meñ  dil-e-nākām  thā
pīchhe  pīchhe  maut  thī  aage  ḳhudā  kā  naam  thā
bante  hī  ghar  ibtidā  meñ  rū-kash-e-anjām  thā
tinke  chun  kar  jab  nazar  kī  āshiyāñ  ik  daam  thā
be-mahal  dil  ke  bujhāne  se  unheñ  kyā  mil  gayā
jis  ko  sham-e-sub.h  samjhe  vo  charāġh-e-shām  thā
hāl-e-mun.im  ḳhud-ġharaz  kyā  jāneñ  mai-ḳhāna  meñ  kal
riñd  the  be-fikr  gardish  meñ  dimāġh-e-jām  thā
bas  yahī  fiqra  ki  shām-e-hijr  ne  maarā  mujhe
koī  kah  aatā  to  kitnā  muḳhtasar  paiġhām  thā
saikḌoñ  baar  ek  āh-e-sard  se  tharrā  chukā
kis  qadar  nazdīk  dil  se  āsmāñ  kā  baam  thā
nāmvar  phir  kaun  hogā  kār-zār-e-dahr  meñ
jab  yahāñ  dil  sā  alam-bardār-e-ġham  gumnām  thā
monis-e-vahdat  ko  kho  baiThā  baḌī  mushkil  ye  hai
kāTnā  ik  shām-e-furqat  kā  zarā  sā  kaam  thā
sau  jagah  se  chhin  rahā  thā  jab  tū  Dartā  kis  liye
khā  gayā  dhokā  ki  mere  dil  kī  sūrat  daam  thā
sar  chaḌhāyā  maiñ  ne  chun  chun  kar  ḳhas-o-ḳhāshāk  ko
baaġh  ke  tinke  the  vo  jin  kā  nasheman  naam  thā
zab.h  meñ  ik  bhiiḌ  sī  dekhī  thī  lekin  kyā  ḳhabar
gard  merī  hasrateñ  thiiñ  yā  hujūm-e-ām  thā
mere  naale  the  shab-e-furqat  meñ  kitne  bar-mahal
un  ke  kānoñ  meñ  magar  ik  shor-e-be-hañgām  thā
kyā  zamāne  kā  gilā  'sāqib'  kisī  kā  kyā  qusūr
ye  dil-e-ġham-dost  ḳhud  hī  dushman-e-ārām  thā