bhaTak  rahā  huuñ  ki  gir  kar  sambhal  rahā  huuñ  maiñ
kisī  tarah  se  to  raste  pe  chal  rahā  huuñ  maiñ
navāzishāt  kī  had  se  nikal  rahā  huuñ  maiñ
haTā  le  haath  ki  karvaT  badal  rahā  huuñ  maiñ
junūñ  meñ  aql  kī  saudāgarī  bhī  kī  maiñ  ne
nigāh-e-nāz  se  duniyā  badal  rahā  huuñ  maiñ
havā-e-ġham  se  ghirā  hai  charāġh  hastī  kā
sambhālnā  ki  tire  paas  jal  rahā  huuñ  maiñ
kisī  bhī  sāñche  meñ  qismat  na  Dhal  sakī  ab  tak
hazār  soz-e-tapish  se  pighal  rahā  huuñ  maiñ
vo  aa  chale  vo  abhī  aa.e  dekh  lo  'rāzī'
zarā  sī  der  hai  ruk  jaao  chal  rahā  huuñ  maiñ