kisī  ke  dast-e-ināyat  kā  vo  diyā  huuñ  maiñ
jalā  diyā  hai  kisī  ne  sulag  rahā  huuñ  maiñ
dayār-e-lutf  meñ  aisā  shikasta-pā  huuñ  maiñ
lipaT  ke  kāñToñ  se  ro.e  vo  aabla  huuñ  maiñ
mujhe  mirī  hī  ri.āyat  ne  kar  diyā  mahrūm
pakaḌ  pakaḌ  ke  jo  dāman  ko  chhoḌtā  huuñ  maiñ
mujhī  meñ  kaun  ḳhatā  hai  ki  jo  kisī  meñ  nahīñ
ik  aadmī  huuñ  yahī  bas  na  aur  kyā  huuñ  maiñ
thake  hue  haiñ  mire  hausle  kahāñ  chal  ke
zarā  sā  ruk  ke  yahāñ  saañs  le  rahā  huuñ  maiñ
sanam-kadoñ  kī  na  paḌ  jaa.e  har  jagah  buniyād
jigar  ke  TukḌe  zamīñ  par  bikhertā  huuñ  maiñ
gayā  to  bhuul  gayā  koī  dard-e-zaḳhm  kā  haal
vo  kashmakash  hai  ki  ġham  se  lipaT  rahā  huuñ  maiñ