nāḳhudā  bhī  nahīñ  ḳhudā  bhī  nahīñ
koī  merā  tire  sivā  bhī  nahīñ
mudda.ā  ġhair  mudda.ā  bhī  nahīñ
aur  hasrat  kā  pūchhnā  bhī  nahīñ
kāhish-e-ġham  harīf-e-jāñ  hī  sahī
ġham  na  ho  to  yahāñ  mazā  bhī  nahīñ
shīsha-e-dil  to  chor  hai  lekin
aasrā  hai  ki  TūTtā  bhī  nahīñ
husn  kā  aks  hai  hijāb-e-nazar
phir  junūñ  ko  to  sūjhtā  bhī  nahīñ
bazm  se  un  kī  uTh  gayā  ḳhud  maiñ
koī  pursān-e-hāl  thā  bhī  nahīñ
ishq  meñ  paḌ  ke  luT  gayā  'rāzī'
un  ko  ġham  hai  ki  kuchh  huā  bhī  nahīñ