Khalid Jamal

safar tamam hua gard-e-justuju bhi gai

Khalid Jamal

safar tamām huā gard-e-justujū bhī ga.ī

tirī talāsh meñ niklī to aarzū bhī ga.ī

ik intizār thā barf ke pighalne

phir us ke ba.ad to ummīd-e-ābjū bhī ga.ī

talab raah meñ aise bhī moḌ aa.e haiñ

ki harf-o-saut gayā shoḳhī-e-gulū bhī ga.ī

ye barg-o-bār kahāñ jāzib-nazar Thahre

tumhāre ba.ad to phūloñ se rañg-o-bū bhī ga.ī

kuchh aise ḳhaak uḌaa.ī hai dasht-e-hū meñ 'jamāl'

ki jazb-e-shauq bhī tafrīq-e-mā-o-tū bhī ga.ī

Top Urdushayar.com