Muzdam Khan

ghus ghusa kar sahi rawan to hai

Muzdam Khan

ghus ghusā kar sahī ravāñ to hai
dil buḌhāpe meñ bhī javāñ to hai
go mazāmīñ nahīñ hamāre paas
shā.erī ke liye zabāñ to hai
raaz to nā huā jo batlā duuñ
varna tū achchhā rāz-dāñ to hai
ġhusse meñ ishq ko kahā gaalī
aur tū kah rahī hai haañ to hai
terī tasvīr khīñchne ke ba.ad
camera zeb-e-dāstāñ to hai
aql rahtī hai ġham jahāñ sab kī
vo bhī āḳhir koī jahāñ to hai
ho siyāsī yā chāhe jazbātī
sāma.īñ ke liye bayāñ to hai
chhoḌ kar jaane kā ho fā.eda kyā
merī sochoñ meñ kārvāñ to hai
kuchh ḳharīdārī ke liye 'muzdam'
ḳhvāb meñ hai magar dukāñ to hai
Top Urdushayar.com