ghus  ghusā  kar  sahī  ravāñ  to  hai
dil  buḌhāpe  meñ  bhī  javāñ  to  hai
go  mazāmīñ  nahīñ  hamāre  paas
shā.erī  ke  liye  zabāñ  to  hai
raaz  to  nā  huā  jo  batlā  duuñ
varna  tū  achchhā  rāz-dāñ  to  hai
ġhusse  meñ  ishq  ko  kahā  gaalī
aur  tū  kah  rahī  hai  haañ  to  hai
terī  tasvīr  khīñchne  ke  ba.ad
camera  zeb-e-dāstāñ  to  hai
aql  rahtī  hai  ġham  jahāñ  sab  kī
vo  bhī  āḳhir  koī  jahāñ  to  hai
ho  siyāsī  yā  chāhe  jazbātī
sāma.īñ  ke  liye  bayāñ  to  hai
chhoḌ  kar  jaane  kā  ho  fā.eda  kyā
merī  sochoñ  meñ  kārvāñ  to  hai
kuchh  ḳharīdārī  ke  liye  'muzdam'
ḳhvāb  meñ  hai  magar  dukāñ  to  hai