mirī  nigāh  meñ  ye  rañg-e-soz-o-sāz  na  ho
tire  karam  kā  agar  silsila  darāz  na  ho
umiid  chashm-e-taġhāful-shi.ār  se  kab  thī
is  iltifāt-e-farāvāñ  meñ  koī  raaz  na  ho
hamāre  hāl-e-pareshāñ  pe  ik  nazar  bhī  nahīñ
niyāz-mand  se  itnā  tū  be-niyāz  na  ho
kisī  ne  toḌ  diye  barbat-e-hayāt  ke  taar
ab  aur  kyā  ho  agar  āh-e-jāñ-gudāz  na  ho
nazar  na  aa.e  kahīñ  ye  bahār  kā  aalam
agar  tasavvur-e-rū-e-chaman-tarāz  na  ho
chalā  to  hai  magar  ai  rahrav-e-rah-e-irfāñ
haqīqatoñ  kī  bhī  manzil  kahīñ  majāz  na  ho
jo  us  ke  husn  kī  parchhā.iyāñ  na  aa.eñ  nazar
to  ruuh  garm-e-tavāf-e-harīm-e-nāz  na  ho
hai  ek  fitna-e-bedār  husn-e-ḳhvābīda
sambhal  ki  ghaat  meñ  vo  chashm-e-nīm-bāz  na  ho
shab-e-firāq  na  kaaTe  kaTe  kabhī  'muztar'
ḳhayāl-e-dost  agar  ġham  meñ  dil-navāz  na  ho