Ram Krishn Muztar

ye ghani chhanw ye ThanDak ye dil-o-jaan ka sukun

Ram Krishn Muztar

Bulandshahar, Uttar pradesh, India

1927
ye ghanī chhāñv ye ThanDak ye dil-o-jāñ kā sukūñ
merī āñkhoñ pe tire gesu-e-pur-ḳham to nahīñ
lazzat-e-dard vahī hai vahī kaifiyyat-e-zīst
iltifāt-e-nigah-e-nāz abhī kam to nahīñ
dil ke armān machalte hī chale jaate haiñ
ye siyah-rāt tirī kākul-e-barham to nahīñ
uljhaneñ shauq kī baḌhtī hī chalī jaatī haiñ
aaj zulfoñ meñ tirī koī nayā ḳham to nahīñ
ḳhud ko bhūle hue duniyā se gurezāñ rahnā
ye kahīñ terī mohabbat hī kā aalam to nahīñ
DabDabā aa.eñ mujhe dekh ke āñkheñ us kī
haa.e be-dard mire dard-e-moharram to nahīñ
rah ga.iiñ jam ke ye kis par mirī nazreñ 'muztar'
rū-ba-rū aaj vahī husn-e-mujassam to nahīñ
Top Urdushayar.com