Ram Krishn Muztar

ye ghani chhanw ye ThanDak ye dil-o-jaan ka sukun

Ram Krishn Muztar

Bulandshahar, Uttar pradesh, India

1927

ye ghanī chhāñv ye ThanDak ye dil-o-jāñ sukūñ

merī āñkhoñ pe tire gesu-e-pur-ḳham to nahīñ

lazzat-e-dard vahī hai vahī kaifiyyat-e-zīst

iltifāt-e-nigah-e-nāz abhī kam to nahīñ

dil ke armān machalte chale jaate haiñ

ye siyah-rāt tirī kākul-e-barham to nahīñ

uljhaneñ shauq baḌhtī chalī jaatī haiñ

aaj zulfoñ meñ tirī koī nayā ḳham to nahīñ

ḳhud ko bhūle hue duniyā se gurezāñ rahnā

ye kahīñ terī mohabbat aalam to nahīñ

DabDabā aa.eñ mujhe dekh ke āñkheñ us

haa.e be-dard mire dard-e-moharram to nahīñ

rah ga.iiñ jam ke ye kis par mirī nazreñ 'muztar'

rū-ba-rū aaj vahī husn-e-mujassam to nahīñ

Top Urdushayar.com