Ram Krishn Muztar

gardish-e-jam bhi hai raqs bhi hai saz bhi hai

Ram Krishn Muztar

Bulandshahar, Uttar pradesh, India

1927
gardish-e-jām bhī hai raqs bhī hai saaz bhī hai
jis meñ naġhmoñ kā talātum hai vo āvāz bhī hai
itnā saada bhī use ai dil-e-pur-shauq na jaan
iltifāt ek nigāh-e-ġhalat-andāz bhī hai
mudda.ā un kā samajh meñ nahīñ aatā ai dil
be-sabab hai ye taġhāful ki koī raaz bhī hai
ġharq-e-kaifiyat-e-āhañg-e-tarab sun to sahī
zindagī dard meñ Duubī huī āvāz bhī hai
toḌ Dāleñge qafas aaj asīrān-e-qafas
azm-e-parvāz bhī hai quvvat-e-parvāz bhī hai
merī āñkhoñ se Dhalakte hue har ashk meñ aaj
aks-e-anjām bhī hai sūrat-e-āġhāz bhī hai
kaun jaane ye mire dil ke sivā ai 'muztar'
us kī ik jumbish-e-lab silsila-e-rāz bhī hai
Top Urdushayar.com