Ram Krishn Muztar

masala ye bhi ba-faiz-e-ishq aasan ho gaya

Ram Krishn Muztar

Bulandshahar, Uttar pradesh, India

1927

mas.ala ye bhī ba-faiz-e-ishq āsāñ ho gayā

ziist ko andāza-e-ġham-hā-e-daurāñ ho gayā

dil meñ jab ehsās sho.ala farozāñ ho gayā

nuur afshāñ har charāġh-e-bazm-e-imkāñ ho gayā

tere lahrāte ai jān-e-tarab rūh-e-nashāt

zindagī raqsāñ huī aalam ġhazal-ḳhvāñ ho gayā

is tarah merī bahār-e-zindagī ruḳhsat huī

dil ujaḌ kar rah gayā āġhosh vīrāñ ho gayā

ho ga.ī jab zaḳhma-zan dard-e-mohabbat ḳhalish

har nafas ik naġhma-e-sāz-e-rag-e-jāñ ho gayā

anjum-afshāñ ho ga.ī jab merī chashm-e-ashk-bār

dard tiira fazāoñ meñ charāġhāñ ho gayā

jis ke ā.īne meñ lākhoñ rañg the jalva-fagan

ḳhvāb vo lamha-e-aish-e-farāvāñ ho gayā

maiñ ne har but parastish kuchh is andāz se

kufr merā lā.eq-e-arbāb-e-īmāñ ho gayā

aah muztar ab vo jalve haiñ na vo ra.anā.iyāñ

har nazāra sāya-e-umr-e-gurezāñ ho gayā

Top Urdushayar.com