dard-e-hayāt-e-ishq  hai  naġhma-e-jāñ-gudāz  meñ
ġharq  hai  saarī  kā.enāt  lazzat-e-soz-o-sāz  meñ
shauq  kā  haal  kyā  huā  dil  kā  ma.aal  kyā  huā
ek  jahān-e-rāz  hai  dīda-e-dil-navāz  meñ
kaif-e-ḳhud-āgahī  bhī  hai  ālam-e-be-ḳhudī  bhī  hai
shauq-e-supurdagī  bhī  hai  aaj  nigāh-e-nāz  meñ
pichhle  pahar  jo  husn  ke  ruḳh  se  haTeñ  ḳhunuk  laTeñ
jaag  uThā  nayā  fusūñ  chashm-e-fusūñ-tarāz  meñ
aah  vo  ālam-e-shabāb  haa.e  vo  nashsha-e-sharāb
jhalkā  huā  vo  rañg-e-ḳhvāb  nargis-e-nīm-bāz  meñ