din  ko  mismār  hue  raat  ko  tāmīr  hue
ḳhvāb  hī  ḳhvāb  faqat  ruuh  kī  jāgīr  hue
umr  bhar  likhte  rahe  phir  bhī  varaq  saada  rahā
jaane  kyā  lafz  the  jo  ham  se  na  tahrīr  hue
ye  alag  dukh  hai  ki  haiñ  tere  dukhoñ  se  āzād
ye  alag  qaid  hai  ham  kyuuñ  nahīñ  zanjīr  hue
diida  o  dil  meñ  tire  aks  kī  tashkīl  se  ham
dhuul  se  phuul  hue  rañg  se  tasvīr  hue
kuchh  nahīñ  yaad  ki  shab  raqs  kī  mahfil  meñ  'zafar'
ham  judā  kis  se  hue  kis  se  baġhal-gīr  hue